Thursday, December 23, 2010

kiska Rasta Dekhe(Joshila)



A master-piece by Kishore Kumar. His voice expounds the sadness of song. Amazing lyrics too.

Movie: Joshila
Singer(s): KISHORE KUMAR

Kiska Rasta Dekhe, Aye Dil Aye Saudaai (x2)
Meelon Hai Khamoshi, Barson Hai Tanhaee
Bhooli Duniya Kabhiki, Tujhe Bhi, Mujhe Bhi
Phir Kyon Aankh Bhar Aayee

Kiska Rasta Dekhe, Aye Dil Aye Saudaai...

Koi Bhi Saaya Nahin Raahon Mein
Koi Bhi Aayega Na Baahon Mein
Tere Liye Mere Liye Koi Nahin Ronewala
Jhoota Bhi Naata Nahin Chaahon Mein
Tu Hi Kyon Dooba Rahe Aahon Mein
Koi Kisi Sang Mare Aaisa Nahin Honewala
Koi Nahin Jo Yoon Hi Jahan Mein Baate Peer Parayee
Kiska Rasta Dekhe, Aye Dil Aye Saudaai...

Tujhe Kya Beeti Hui Raaton Se
Mujhe Kya Khoi Hui Baaton Se
Sej Nahin Chita Sahi Jo Bhi Mile Sona Hoga
Gai Jo Dori Chhooti Haathon Se
Lena Kya Toote Hue Saathon Se
Khushi Jahan Maangi Toone Wahin Mujhe Rona Hoga
Na Koi Tera Na Koi Mera Phir Kiski Yaad Aai
Kiska Rasta Dekhe, Aye Dil Aye Saudaai
Meelon Hai Khamoshi, Barson Hai Tanhaee
Bhooli Duniya Kabhiki, Tujhe Bhi, Mujhe Bhi
Phir Kyon Aankh Bhar Aayee...

Thursday, December 2, 2010

mujhe pankh mil gaye hain



Really liked this ad basically because of its song.

Lyrics:

Main udaan bhar lunga,
Aasmaan chu hi lunga,
mere ang khil gaye hai.
ho mujhe pankh mil gaye hai (x4)

pawan sa udna hai,
baadal se judna hai,
ho mujhe pankh mil gaye hai (x4)