Friday, February 26, 2010

Ab Mujhe Koi Intezaar Kaha (Ishqiya)

Ishqiya is recently released typical Vishal Bhardawaj movie very much rooted to ground and one which should be referred to if someone is interested in rich culture of India. :-)
Almost all the songs are nice in it but the song that tops for me is "Ab Mujhe Koi Intezaar Kaha," a sad song but very soulful.

Lyrics:
Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Wo jo behte the aabshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Wo jo behte the aabshar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Aankh ke ek gaon mein, raat ko khwaab aate the
Aankh ke ek gaon mein, raat ko khwaab aate the
Chhoone se behte the, bole to kehte the
Udte khwaabon ka aitbaar kahan
Udte khwaabon ka aitbaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Jin dino aap the, aankh mein dhoop thi
Jin dino aap rehte the, aankh mein dhoop rehti thi
Ab to jaale hi jaale hain, ve bhi jaane wale hain
Woh jo tha dard ka qaraar kahan
Woh jo tha dard ka qaraar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behte the abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

[Aabshar = fall, waterfall (may stand for tears falling from the eyes here)]